Hello friends internet ke
jankari or tricks blog par aapka swagat hai aaj ke hamari post es topic par hai
ke hard drive ke letter, path or name kaise change karte hai yani D drive ko E
or E ko F or F or kisi or drive me kaise badalte hai or drive ke rename kaise
dete hai.
Friends
agar aap computer use karte hai to aap dekhte honge hamari drive ka name local
disk (C:) aise he local disk (D:) hote hai aap es name ko change bhi kar sakte
hai or apni pasand ka name rakh sakte hai drive ko rename dena bahut ashan hai
aise he aap apni drive ke path ko yani latter ko bhi change kar sakte hai agar
aap apni D drive ko kisi or drive me badalna chahte hai ya kisi or drive ko
kisi or drive me badalna chahe hai to wo bhi aap ashani se kar sakte hai.
Friends
jab hum apne compter ke hard drive me koi new partition banate hai yani koi
nayi drive banate hai to hame apni drives ke path badalna padh sakti hai kyoki
kabhi - kabhi new drive banana ke baad hamari drives aage piche ho jaate hai to
chaliye friends jante hai computer drive ko rename kaise karte hai or drive ke
path kaise badalte hai.
Computer drive ko rename kaise karte hai ?
Computer
ke jis drive ko aap rename dena chahte
hai uske upar mouse ke help se right click karna hai or fir rename par click
karna hai drive ko jo name aap dena chahte hai type karna hai ab aapke drive ka
name change ho chuka hai.
Computer drive ke letter or path kaise change karte hai ?
1. agar aap window 8, 8.1 ya 10 use karte hai to aapko
file explorer me jakar computer par
click karna hai computer par click karne ke baad aapko manage par click karna hai, agar aap window 7 use karte hai to aap create and format hard disk partition
search karke sidhe disk management ko open kar sakte hai.
2. Computer
management open hone ke baad aapko disk management par click karna hai.
3. Fir Jis drive ka path ya letter aap change karna
chahte hai uspar mouse se right click karke change drive letter and paths par click karna hai.
4. Fir aapko remove par click karke purane drive letter
ko delete karna hai or fir add par click karke new drive letter select karke ok
par click kar dena hai.
5. Ab aap file explorer me jakar check kar sakte hai apki
drive ke letter ya drive path change ho chuka hoga.
Friends
es tarhe se aap apne computer ke drive ke letter ya path ko change kar sakte
hai I hope aap logo ko samajh aa gaya hoga agar abhi bhi aapko kahi par kuch
samajhne me pareshani ho rahi hai ya aap kuch janna chahte hai to mujhe comment
kar sakte hai.
Aapko ye post kaise lage hume
jarur bataye comment karke agar aapko hamari post pasand aayi ho to ese social
sites par share kare hamari future post ke jankari pane ke liye hume subscribe
kare apne email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page ko like
kare.
Today it is a lot simpler to get shabby logo configuration organizations on the Net in light of the fact that these organizations don't need to hold up under overhead charges but then can render quality administrations. logo design service
ReplyDeleteI have express a few of the articles on your website now, and I really like your style of blogging. I added it to my favorite’s blog site list and will be checking back soon… SAS Hard Drive
ReplyDelete