Hello friends aaj mai aapko
bataunga aap kaise android mobile phone se apne computer me internet use kar
sakte hai friends ek time tha jab hum pc suite software ko download karke apne computer
me apne phone se internet chalate the or us time par jyadatar log nokia ke
phone use karte the isliye nokia pc suite us time par famous hua karta tha.
aaj ke time me lagbhag
maximum log android smart phone use karte hai android es time par top par chal
raha operating system hai or lagbhag har mobile company android phone bana rahi
hai or aajke time me android phone ke keemat bhi bahut kam ho gayi hai esliye
maximum log android phone ko use karne lage hai par bahut se log android phone
ke bahut se features ke bare me jante bhi nahi hai.
Aisa he ek feature hai USB
Tethering jiski help se aap apne android phone ko usb cable se computer me
connect karke data access kar sakte hai yani apne android phone se computer me
internet chala sakte hai, jee ha agar aapke pass android phone hai to aapko
apne computer me net use karne ke liye net setter yani dongle lene ke jarurat
nahi hai aap apne android phone se apne computer me ashani se net chala sakte
hai.
USB Tethering ka use karke android phone
se computer me internet kaise chalate hai chaliye jante hai.
1. Sabse pehle aapko apne android phone ka internet on
karna hai or phone ko computer me data cable se connect karna hai.
also read - free website kaise banate hai hindi me jane.
2. fir aapko apne android phone ke setting me jana hai or fir more
par click karna hai.
3. More par click karte he aap wireless & networks setting me pahuch jayenge yaha par aapko tethering & portable hotspot par
click karna hai.
4. Tethering & portable hotspot me pahuchne ke baad
aapko usb tethering par tick laga dena hai kuch dair me aapka mobile internet
network computer se connect ho jayega or aap apne computer me net use kar
sakenge.
I hope aap log samajh gaye
honge mobile se computer me internet kaise use kar sakte hai agar aapko abhi
bhi kahi par kuch samajh na aaya ho ya aap kuch puchna chahte hai to comment
karke puch sakte hai meri post ko padhne ke liye thanks.
Aapko ye post kaisi lagi hume jarur
bataye comment karke or agar apko hamari post pasand aayi to please esay social
sites par share kare hamari future posts ki jaankari pane ke liye hume
subscribe kare email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page
ko like kare.
No comments:
Post a Comment