Hello friends internet ki jankari or tricks blog me aapka swagat hai friends aaj hum janenge computer ke folder ka color kaise change kiya jata hai humare computer me bahut se folder hote hai kyoki hum apna sara data folders me he rakhte hai or jo software hum apne computer me install karte hai wo bhi c drive me folder me he install hote hai par hamare computer me jo folder hote hai unka colour light yellow hai jo jyada accha nahi lagta hai.
Agar hamare folder colorful
dikhai de to isse hamara computer bhi colorful dikhai dega or hamare drives ka
bhi look accha dikhai dega, aap apne folders ko manchaha color de sakte hai or
jab chahe color change bhi kar sakte hai or diye gaye color ko erase bhi kar
sakte hai or ye sab aap ek chote se software ke help se kar sakte hai jiska
size 1 mb se bhi kam hai.
To chaliye friends step by step jante hai kaise hum es software ko download kar sakte hai or kaise ese install karke use kar sakte hai.
1. Sabse pehle aapko rainbow folder software download
karna hai aap es software ko yaha click karke download kar sakte hai.
2. Software ko download karne ke baad aapko ese install
karna hai or open karna hai.
3. Software open hone ke baad niche di gayi picture ki
tarhe dikhai dega es software ko kaise use karna hai chaliye mai aapko batata
hu.
1 – yaha se aap us folder ko
select kar sakte hai jise aapko color dena hai yani colorize karna hai.
2 – yaha se aap folder ki
style ko change kar sakte hai yaha aapko teen folder style milengi aap unme se
select kar sakte hai aapko folder kaise dikhana hai.
3 – yaha se aap apne folder
ko manpasand color de sakte hai aap jaisa chahe waisa apne folder color ko
customize kar sakte hai.
4 – yaha par aap apne folder
color ko dekh sakte hai yaha par aap dekh sakte hai ke aapka folder colorize
hone ke baad kaise dikhayi dega.
5 – yaha par click karte hai
apke folder ka color waisa ho jayega jaisa aapne set kiya hai colorize par
click karne ke baad aapko rainbow folders software ko close karna hai or apne
drive me jakar check karna hai apke folder ka color change ho chuka hoga.
6 – yaha par click karte hai
aapke folder ka color firse pehle ke tarhe he ho jayega.
To friends es tarhe aap chote
se software ke help se apne computer me ek bada effect daal sakte hai, I hope
aap log samajh gaye honge hum kaise apne computer ke folder ka color change kar
sakte hai agar aapko abhi bhi kahi par kuch samajh na aya ho to mujhe comment
karke puch sakte hai meri post ko padhne ke liye apka thanks.
Aapko ye post kaise lage hume
jarur bataye comment karke agar aapko hamari post pasand aayi ho to ese social
sites par share kare hamari future post ke jankari pane ke liye hume subscribe
kare apne email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page ko
like kare.
No comments:
Post a Comment