Hello friends internet ki jankari or tricks blog par aap logo ka swagat hai ye post es blog ke pehle post hai or es post me mai aapko bataunga aap log kaise ek free website bana sakte hai.
Friends aajkal internet ka yug hai har koi internet par apni pehchan banane me laga hai bahut se log social sites par apni pehchan banate hai bahut se log website se internet par apni pehchan banate hai internet ka use aajkal bahut se log karte hai website banakar na sirf aap apni pehchan ko online kar sakte hai balki aap website se paise bhi kama sakte hai website se paise kaise kamate hai ye bhi me aapko bataunga aage ke post me, par es post me hum sirf itna janenge ek free website kaise banate hai wo bhi google ke platform blogger par.
Blogger par aap free website
ya blog bahut ashani se bana sakte hai free website banana ke liye aapko pass
sirf ek gmail account hona chahiye blogger par website ya blog kaise banate hai
chaliye jante hai.
1. Free website banane ke liye sabse pehle aapko www.blogger.com par jana hai or apni gmail id se login karna hai agar
aapke pass gmail id nahi hai to pehle gmail id banale or fir blogger me login
kare.
2. Fir aapke samne new page open hoga yaha par aapko create a limited blogger profile par
click karna hai.
3. Fir aapko apna blogger profile name type karna hai
or fir continue to blogger par click karna hai.
4. Fir aap apne blogger home me pahuch jayenge yaha par
aapko new blog par click karna hai.
5. Fir aapke samne create a new blog page open hoga yaha
par aapko title me apne blog ka title dalna hai or address me aapko apne blog
ka url address type karna hai jaise mere blog ka address hai
tricksandinternet.tk yaha par aapko .tk, .com, .in nahi lagana hai aap blogger
par free blog ya website bana rahe hai yaha par aapke website ke sath me
blogspost.in ya .com lagega jaise tricksandinternet.blogspost.in,
template me aapko apne blog ke liye template choose karna hai or fir create blog par click kar dena hai.
Aapne free blog successfully
create kar liya hai ab apne blog par post kar sakte hai aage ke posts me hum
bloging ke bare me or jyada janenge meri post ko padhne ke liye thanks.
Aapko ye post kaise lage hume
jarur bataye comment karke agar aapko hamari post pasand aayi ho to ese social
sites par share kare hamari future post ke jankari pane ke liye hume subscribe
kare apne email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page ko
like kare.
No comments:
Post a Comment