Header Ads

LightBlog

Breaking

LightBlog

Saturday, 23 April 2016

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI HINDI ME JANE

Hello friends internet ke jankari or tricks blog par aapka ek bar firse swagat hai friends aaj hum janenge android phone se data kaise recover kiya jata hai kai baar kya hota hai friends hum galti se jaruri files, apps, songs, videos, games etc delete kar dete hai fir hamare pass do option hote hai ya to hum unhe firse download kare ya fir unhe recover kare download karne me time ke sath internet data bhi bekar hota hai isliye humare pass ek he option bachta hai data ko recover karne ka.


ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI


Data recover karne ke bahut se software hai jiski madad se aap delete kiya hua data recover kar sakte hai phone ka bhi or computer ka bhi par hum es post me janenge android phone ka data kaise recover karte hai apne computer ke help se wo bhi ek chote se software ke dwara.

Friends agar aapne galti se koi jaruri files delete kar di hai or aapke pass computer hai to aapko ghabrane ke jarurat nahi hai me es post me ek aise chote se software se deleted data recover karna sikhaunga jiska size 2 mb ke ass – pass hai to chaliye friends jante hai android phone ka data kaise recover karte hai.


Android phone ka data kaise recover karte hai ?


1.  Android phone ka data recover karne ke liye sabse pehle aapko 7-data recovery suite home 3.2 software ko download karna hai or use install karna hai or fir es NAME: GOTD201409, SERIAL NUMBER : bcj1SxSRRTuvvXD2-54226288 ko type karke product ko activate karna hai.



2.  Software ko install karne ke baad aapko use open karna hai or android recovery par click karna hai.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

3.  Fir aapko apne phone ko computer me usb cable se connect karna hai or fir phone setting me jakar developer options me jakar usb debugging ko on karna hai.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

4.  Fir aapko computer me usb store ko on karna hai phone me turn on usb storage par click karke.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

5.  Ab aapko 7 – data recovery suite me next par click karna hai.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

6.  Ab aapke samne apke phone ka storage or apke sd card storage show hoga aap jis drive ka data recover karna chahte hai uspar click kare.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

7.  Ab aapke samne recovery process chalu ho jayegi or apka sara data jo apne delete kiya tha wo bhi show ho jayega aap jis – jis file, songs, video, etc ko jise aapne delete kiya tha recover karna chahte hai uspar tick laga de delete kiye gaye data folder ya files par cut ka mark show hoga selection ke baad aapko save par click karna hai.

ANDROID PHONE KA DATA RECOVER KAISE KARTE HAI

8.  Ab aap us folder, directory ko select kare jaha par aap es recover kiye gaye data ko save karna chahte hai or ok par click kar de.


9.  Aapka recovered data us folder me save ho jayega.


I hope aap logo ko samajh aa gaya hoga kaise android phone ka data recover kiya jata hai agar abhi bhi aapko kahi par kuch samajh na aaya ho ya koi problem aa rahi ho ya aap kuch puchna chahte ho to mujhe comment karke puch sakte hai meri post ko padhne ke liye aapka thanks.


Aapko ye post kaisi lagi hume jarur bataye comment karke or agar apko hamari post pasand aayi to please esay social sites par share kare hamari future posts ki jaankari pane ke liye hume subscribe kare email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page ko like kare.

No comments:

Post a Comment

Adbox